Tuesday, 3 April 2018

Twitter Account Kaise Banaye {Full Guide in Hindi}

Dosto aaj hum jaanenge ki Twitter par account kaise banate hai. Aapko to pata hoga ki Twitter Duniya ke sabse popular social media platform me se ek hai. Iska istemal bahut bade celebrity, sportsman bhi karte hai. Aaj kal ka zamaana social media ka hai to isliye aapko janna zaroori hoga ki Twitter par account kaise banate hai.  iss post ko dhyan se akhir tak padhiye isse aapko poora account banane ka porcess pata chal jaayega.

twiiter account kaise banaye


Twitter Par Account Kaise Banate hai?

1. Sabse Pehle aapko Twitter ko open karna hoga. Agar aap Android User hai to aap Twitter ke Android App kholiye aur Agar aap Computer User hai to Aapko Twitter.com par jaana hoga.

Click Here to Download Twitter Android App
Click Here to Open Twitter Website.


2. ab aapke saamne aisi screen aayegi jaisi maine neeche screenshot me dikhayi hai. Aapko Yaha par apna Email aur password Daal dena hai aur Get Started par click karna hai.

twiiter account kaise banaye


3.  Uske baad aapke saamne aur ek Box aayega jisme aapko apna poora naam likhna hai aur Sign Up par click karna hai.

twiiter account kaise banaye


4. ab aapke saamne aur ek page khulega jisme aap apna Phone no. bhi daal sakte hai. agar aapko phone no. share nahi karna hai to neeche Skip par click kijiye.

twiiter account kaise banaye


5. ab yaha par aapko apna username likhna hai. Ye username aap apni twitter link ko share karte waqt kaam aayega aur ye username aapke profile me Full Name ke side me ya neeche show hoga.

twiiter account kaise banaye


e.g-: agar maine user name anish_ab daala to meri twitter profile link kuch aisi dikhegi
http://twitter.com/anish_ab
to dhyan rakhiye ki username simple ho taaki logo ko aapse judne me aasan ho jaaye.

6. Done! aapka Twitter Account ban chuka hai. ab aap Twitter ke sabhi features ka istemal kar sakte ho.

twiiter account kaise banaye
Note-: iske baad bhi aapke saamne 2-3 pages aayenge jisme aapko poocha jaayega ki aapka Interest kya hai aur Famous logo ki Twitter Profile bhi dikhayi degi agar aap unhe follow karna chahte ho to aap "follow" button click karke unhe follow kar sakte ho.

Last Words-:
To dosto aaj humne sikha ki Twitter Account kaise banate hai. Agar aapko account banate waqt kuch problem aa rahi hai to aap neeche comment me likh sakte hai. I hope ye post aapko pasand aayi hogi. Dhanyawad!
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Jaaniye Hindi Me | Powered by Blogger Design by ronangelo | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com