Sunday, 21 January 2018

Blogger Blog Me Custom Template Kaise Upload Karte hai

Dosto aaj hum Jaanenge ki Blogger me custom template ko kaise Intall karte hai. Agar aap blogger ho to ye post aapke liye bahut help karegi.



Blogger me Custom Template Kyu Use karte hai?

Blogger me aapko bahut saari official template di jaati hai par aapko pata hoga ki unka look bahut he simple hota hai aur Design aur Widgets bhi bahut kam hote hai. to aap apne man pasand ki template use kar sakte hai. Custom templates ka look aur design bahut accha hota hai aur saath he saath ye templates bahut fast loading hoti hai. inn templates se aapko website speed bhiu acchi ho jaati hai. Custom Templates ki wajah se visitors ko aapki site attractive lagne lagti hai.

Blogger Custom Templates Download karne ki Best Websites=>


1. https://gooyaabitemplates.com/

2. https://btemplates.com/

3. www.soratemplates.com/

4. www.themexpose.com/

5. https://www.templatesyard.com/

aisi bahut saari websites hai jinse aap free blogger templates download kar sakte hai.

Ye bhi Padhiye-:

Blogger Template ko Install Kaise karte hai?


1. Sabse Pehle apni man pasand template ko download kar lijiye. [maine upar websites ke link de diye hai aap waha se download kar sakte hai.]

2. wo template .zip format me hogi isliye aapko usse extract karna hoga.
[agar aap Computer user hai to 7zip ka istemal kar sakte hai aur agar aap Android user hai to RAR naam ka app hai usse install kijiye]

3. Ab aapko blogger.com kholke Themes ke option me jana hoga.



4. waha par aapko "Backup/Restore" ka option dikhega uspar click kijiye.



5. Ab "Choose File" ka option aayega uspar click kijiye aur apke template ki .xml file ko choose kijiye. yaha niche photo me me aapko BMAG Template upload karke dikhata hu.
[aapke template me .xml ki ek file hogi jo aapko template extract karne ke baad milegi usse aapko select karna hai.]





6. Ab "Upload" button par click kijiye.



7. Done! aapki temnplate ab Upload ho chuki hai ab aap apna blog khol ke check kar sakte hai.

Last Words=>

to dosto aaj ki iss post me humne sikha ki blogger template ko extract kaise karte hai. I hope ye post aapko acche se samaj aayi hogi. Agar aapko iss post ke baare me koi bhi sawaal poochna hai to aap niche comment section me pooch sakte hai.
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Jaaniye Hindi Me | Powered by Blogger Design by ronangelo | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com