Dosto aaj hum baat karenge ki aap Phone Charge karte samay konsi aisi galtiyaan karte hai jisne aapka phone bahut kam speed se charge ho pata hai iske Liye me aapko kuch aise tips dunga jisse aapke phone ki charge ki speed badh jayegi aur ye tips janane ke baad aap unko follow karoge to 100% aapke phone ki charging speed badhegi.To chaliye dekhte hai.
Kya Karne se Humari Phone ki Charging speed badhegi-:
1. Airplane Mode-:
aap jab aapka phone charging me lagate hai tab Airplain Mode ko "on" rakha kijiye.agar aapko pata nhi hai ki airplain mode kaise on karte hai to aapke Phone Settings me wo option aapko dikhyi dega usse Airplain Mode YA FIR fLIGHT Mode kehte hai. to aap soch rahe honge ki isko on kyu rakhna hai to iska simple ek reason hai ki Aapka Phone aapke sim network ko humesha search karta rehta hai aur isse 50% charging ki speed kam ho jati hai. TO jab aap Airplain Mod ko on karenge tab aapka phone network search nahi karehga to usse aapki Phone ki Charging Speed bahut acche se badhegi.
2. Data Cable-:
Agar aapka charger kharab ho jata hai to aap kisi aur phone ka charger istemal karte ho usse bahut kam speed se charging hota hai aur wo charger aapke phone ki performance par bhi affect karta hai. To agar aap aapke phone company ka charger istemal kar rahe ho to Sabse accha rahega. Agar aapka charger kharab ho jata hai to aap Online Shopping karke aapke phone ko suppoerted charger le sakte hai Lekin kisi dusre charger se charging karne ki galtiyaan kabhi na kare.
3. Switch Off-:
Agar aapko aapke phone ke charging ki speed badhani hai to sabse badhiya tareeka hai ki Phone ko Switch off karke Charging par lagaye isse kya hota hai ki humari Operating System, Apps jo background me chalte hai aur humare charging par affect karte hai wo ruk jaate hai. Aur ek baat dhyan me rakhiye ki Phone ko Wall Socket opar he charging me lagaye agar aap apne phone ko Laptop ya Powerbank se jodkar charging me lagate hai to ye bilkul galat hai.Me suggest karta hu ki Wall Socket par he phone ko charging me lagaye.
4. Charging Mode-:
agar aap ana phone speed se charging karna chahte hai to aapke phone me charging mod enable hona baahut bahut jaruri hai.Agar aapko pata nahi ki charging mode kaha par hota hai to me aapko bataunga aapke phone settings me "developers Options" naam ka option hota hai ussi me he milega aappko charging mode.Agar charging mode on hai to koi baat nahi agar nahi hai to wo aapko on karna padega.
5. Power Bank-:
agar aap normel powerbank istemal karte hai aapke phone ko charge karne ke liye to ye galti kabhi na kare. Normal Power Bank me bahut kam voltage hoti hai jisse aapka phone bahut slow charge hota hai agaqr aap chahte hai ki power bank se aapka phone jaldi charge ho to aapko aapke phone ke supported Power Bank leni padegi jisme voltage bhi aapke phone ko support kare aur Wo Power Bank bhi aapke phone ko support karni chahiye.
6. Wireless Charger-:
agar aap aapka phone chare karne ke liye wireless charger istemal karte hai to ye aapki sabse badi galti hogi kyuki jo normal wire ka jo charger hota hai usse data transfer karne me badi aasani hoti hai aur jo aap wirless charger istemal karte hai uss waqk data tranfer karne me bahut mushkil hoti hai to me aapko yahi bataunga ki normel charger he istemal kare.
7. Back Cover-:
agar aap aapke phone ke liye back cover istemal karte hai to charging me lagate samy usko nikal de iska karan yah hai ki jab aap back cover lagake charging karte hai tab aapka charger temperature maintain nahi kar paata iske liye aapko back cover nikalna padega aur fir aapko phone ko charging me lagana padega isse temp. maintain rahega aur charging bhi fast hoga.
to dosto ye thi kuch acchi tips jo aapko aapka phone charging karte samay follow karni hai.
Last Words-:
To dosto iss post me humne dekha ki Charging karte samay kon konsi tips follow karni chahiye jisse humare Phone ke charging ki speed badh sake. To mujhe lagta hai ki aapko ye tips pasand aayi hogi aur isko istemal karne ke baad aapke phone ki charging speed jo hai wo 100% badh jayegi. Agar aapko iske baare me kuch sawaal puchne hai to aap comment karke pooch sakte hai aur aisi he updates aapko chahiye to aapko Humara Facebook Group join karna hoga. Humare facebook Group ki Link aapko niche mil jayegi. Dhanyawad.
0 comments:
Post a Comment