Thursday, 18 January 2018

How to Create New Ad Unit in Google Adsense।। Google Adsense Me New Ad Unit Kaise Banate Hai

Dosto aaj hum jaanenge ki Google Adsense Me New Ad Unit Create kaise karte hai. Agar aap Blogger aur Adsense User hai to ye post aapko help karegi. To iss post ko last tak padhiye jisse aapko pata chal jaayega ki Google Adsense Me New Ad Unit Kaise banate hai. Bahut saare Bloggers ko ek problem hoti hai ki Adsense approved hone ke baad kya karna padta hai. to unke liye bhi ye post help karegi. to chaliye jaante hai.



Google Adsense Me New Ad Unit Kaise Banaye?



1. Sabse Pehle Google.com/adsense Par jaaye aur Apne Gmail se login kar lijiye.

2. Uske baad sidebar ke options me "My Ads" par click kijiye.



3. Fir aapko "New Ad Unit" ka button dikhega uspar click kijiye.



4. Ab aapke saamne 3 Ad Types aayenge jisme se aapko koi bhi ek ad type select karna hai.



5. Fir aapke saamne new screen aayegi jisme aapko uss Ad Unit ka name aur Ad Ko customize [color,size and other options] karna hai.





6. Ye sab complete ho jaane ke baad aapko "Save & Get Code" par click karna hai.

7. Done! aapka Ad Code generate ho chuka hai ab aap use Apne blog par lagaakar ads show kar sakte hai.

Ye Bhi Padhiye

Last Words=>

Dosto iss post me humne dekha ki Google Adsense me new Ad Unit kaise banate hai. I hope aapko ye samaj aaya hoga.agar aapko iss post ke baare me kuch bhi sawaal poochne hai to aap neeche comment box me likhakar pooch sakte hai.
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Jaaniye Hindi Me | Powered by Blogger Design by ronangelo | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com