Tuesday, 12 September 2017

Youtube Channel Kaise Shuru kare aur Usse Paise Kamaye

Dosto aaj hum jaanenge Ki Youtube channel banate kaise hai aur Usse Paise kaise kamate hai. Online Earning ka Youtube ek best platform hai. Yaha par hum apne skills dikha kar paise kama sakte hai. matlab jitne humare channel aur videos par views aayenge utna he hum paise kamayenge. to chaliye dekhte hai ki Youtube channel kaise banate hai, iske fayde kya hai, aur isse earning kaise karte hai.


YouTube par Khud ka channel kaise banate hai-:
     Sabse pehle hum dekhenge ki Youtube par apna khud ka channel kaise banate hai. iske liye aapko ek new gmail banana padega. me aapko suggest karunga ki jo aap apne channel ka naam rakhna chahte hai usi naam se ek gmail id bana dijiye. aur aapke paas Android ya fir Computer hona jaruri hai jisse aap new channel create karke uspe videos upload kar sake. to chaliye dekhte hai ki Youtube par khud ka channel kaise banate hai

1. Sabse Pehle aapko Browser open karna hoga aur waha par type karna hoga "Youtube.com" [agar aap android se channel bana chate hai to sabse pehle aapka Google Chrome Browser open kijiye aur side ke options par click kijiye aur waha se "Request Dekstop Site" ko enable kar diye aur fir search box me type kijiye "Youtube.com"]

2. fir aapko right side me upar ki taraf Sign in ka option dikhega uspar click kijiye. fir aapne jo Gmail id banayi hai usse waha par sign in kar dijiye.

3. aur fir ab sign in ho gaye hai. ab aapko upar ki taraf right side me aapki profile dikhegi uspar aapko click karna hai. aur fir waha par creator studio ke side me ek setting ka icon dikhega uspar ek baar click kar dijiye.

4. fir left side me aapko additional features ka option dikhega aur uske niche "Create a New Channel" ka option hoga aapko uspar click karna hai.

5. AB aapke saamne ek box aayega waha par aapko wo naam likhna hai jis naam se aap Youtube channel banana chahte ho. dhyan rakhiye ki aapke channel ka naam aur videos ek dusre se related hone chahiye. agar aisa nahi hua to aapke videos par views nahi aayenge. me aapko iska ek example batata hu.

Example-: agar mujhe Technology se related channel banana hai aur uspar mujhe Technology ke related Videos upload karne hai to me kuch iss tarah naam rakhunga "Tech Anish, Tech in Hindi, Tech with Anish." inme se me koi ek naam choose karke rakhunga. Mera naam Anish hai isliye maine me mere naam se channel banaunga.

6. ab aapko uske niche se category select karni hai. Jis category ke aap videos upload karna chahte ho uss category ko select karna ha..

7. ab aapko niche I agree with terms ka box dikhega usme aapko click kar dena hai.

8. aur Finished ke button par click kar dena hai.

9. Done! ab aapka channel create ho gaya hai.


*Channel banane ke baad kya karna hai-:

1. Profile Picture-:  ab aapko aapke channel ke liye Logo banana hai. agar aapko logo banana nahi aata to Google par free logo maker search karke aap apna logo free me banwa sakte hai. uske baad aapko wo log Profile picture par set karna hai.

2. Channel Art-: Profile Picture ke background me jo khali jagah hogi waha par aapko koi accha sa beautuful background image set karna hai. jisse jo koi bhi aapke channel ko visit karega usko aapka channel attractive lagega.

3. About-: waha par aapko ek About ka option dikhega. uspar click karke aapko aapke channel ke baare me likhna hai. matlab aapka channel kisse related hai aur aap aapke channel par konsi video upload karenge.

   toh dosto aapka channel ab thik se set ho chuka hai. ab aap Video Upload kar sakte hai. par me iske baare me aur kuch bataunga usse bhi dhyan se padhiye.

*Channel se Hum Earning kaise karenge-:
     Aapke Youtube videos par jab advertisements dikhne shuru ho jayenge tab aapki earning shuru ho jayegi. Jab aapke Channel par Total Views 10,000 honge tab aapko Google Adsense ke liye sign up karna padega aur uske baad automatically aapke videos ke pehle Ads dikhne shuru ho jayenge. To jitne bhi log aapka video dekhenge uske aapko paise milenge. ye aapke Video contents par depend hota hai agar aapne acche videos banaye aur agar logon ko wo pasand aaye to Wo log aapka video share karenge usse aapke views automatically badh jaayenge aur Aapki Earning bhi acchi ho jayegi. Jab aapke channel par acche khaase views aane lagenge uske baad aap Youtube ko aapka full time carrier bana sakte hai. par isme thoda time lagta hai aur aapki mehnal bhi lagti hai. jitna aapk aapke channel par Hard Work karoge utne he aapko views milenge aur utne he aapko paise milenge. Youtube ke madhyam se aap bahut saare paise kamaa sakte hai.

Last Words-:

     To iss post me humne dekha ki Youtube par channel kaise banate hai aur usse paise kaise kamaate hai. TO aise he updates aapko chahiye to aap humara facebook group join kar sakte hai waha par humare saare updates aapko milte rahenge. Dhanyawad!
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Jaaniye Hindi Me | Powered by Blogger Design by ronangelo | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com