Thursday, 7 September 2017

Android Phone Se Video Editing Kaise Kare

Dosto Jaaniye Hindi Me ki website par aap sabka swagat hai. Ye meri pehli post hai iss website par. To iss post me me aapko ek aisa app bataunga jisse aap full video editing kar sakte hai aapke android mobile ke jariye.



Video Editing Kya hai?
👉Video Editing ka matlab Aap kisi bhi Video ko apni tarah se edit kar sakte hai. Aapne Photo Editing ke baare me padha hoga ya aapko Photo Editing ke baare me shayad pata hoga. To photo editing me hum kya karte hai ki hum Photo ko Edit karte hai waisa he isme kya hota hai ki hum VIDEO ko apne tareeke se edit kar sakte hai.

VPN ka matlab kya hota hai? Konsa VPN accha hai

200+ WhatsApp Groups ko 1 Din Me kaise Join Kare



Video Editing Kaise Karte hai?
👉pehle video editing ke liye hume Computer ki jarurat padti thi par abhi iss jamane me hum apne Android ke jariye Video Edit kar sakte hai. Bilkul jaise Computer par video editing hoti hai waise he hum apne mobile me kar sakte hai. Jo bhi features computer ke video editing softwares me hote hai wo ab Android App me bhi support karte hai to iske baare me me aapko sabhi jaankari dunga to iss post ko akhir tak padhiye aur video editing poori jaankari lijiye.


Video Editing ki Jarurat kis kisko hai?
👉Sabse pehle to ye bataunga ki Video Editing Hum apne Hobby ke liye bhi kar sakte hai ya fir timepaas ke liye. To abhi iske baare me puchoge to sabse pehle Video Editing ki Zarurat Youtubers, Movie Creators in jaise logo ke liye hai. Movie Creators/Editors ki jo Editing hoti hai wo Phone par nahi ho sakti kyuki Unka chote se chota Shot Thik se dekh kar edit karna padta hai to Wo computer par he thik se ho paata hai. Aur rahi baat YouTube R's ki to Youtubers apni mobile se full 100% Video Edit kar sakte hai.


Video Editing Se Kya Fayda Hota hai?
👉To Youtubers ke baare me batau to Youtubers jab apne  youtube par upload karte hai to wo edited hote hai aur  Youtube ka ek Program hota hai jisse youtube unke videos  ke pehle Advertisement dikhata hai aur jo bhi log uss video ko dekhte hai uske unko paise milte hai Google Adsense ke jariye. Iske baare me me aapko aage ki kisi post me bataunga.


To chaliye friends Hum dekhte hai ki Android App ke jariye hum Video Editing kaise kar sakte hai-:

1. Sabse Pehle aapko Powerdirector ka App Download Karna padega.

Note-: Niche di gyi Link se he download kijiye kyuki maine jo link di hai uss App me aapko sabhi features milenge. Agar aap Google Play Store se download karenge to ye sabhi features aapko nhi milenge.

👉Click here to Download App

2.Fir iss App ko normal tareeke se install karna hai.

3.Fir iss App ko Open kijiye aur New Project par click kijiye aur fir ok par click kijiye.

4.Fir aapko waha par videos select karne ka option aayega waha se jo video edit karni hai usko selct kijiye.

5.fir plus (+) par click kijiye. Aur fir Upar ke right corner me play ka option hoga uspar click kijiye.

6.Done! waha par aapko sabhi video editing ke option mil jayenge waha se aap jaise chahe waisa video edit kar sakte hai. Dhire Dhire aap ikh jayenge iske baare me.

Last Words-:
Toh thank you friends post ko read karne ke liye aisi updates agar aapko chahiye to maine Niche Facebook page ka option diya hai waha se "Like Page" par click kijiye isse humari  updates aapko milti rahegi

Thank You😊
Share:

0 comments:

Post a Comment

Copyright © Jaaniye Hindi Me | Powered by Blogger Design by ronangelo | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com